25 मई 2011

vraddhvastha

vradhhavastha,
ek hakikat hai
jiwan ka antim padav.
par us vradhh jiwan ka bhi
ek sapna hai
haste-khilkhilate ghar ka sapna
pakadne ko bhagte hain
par hatho se chhoot jata hai
shayad umar ne najar ko kamjor kar diya hai
ya pairon ko ashakt
hath se chhoot kar gir gaya swapn
kitna peedadayak hota hai
ye to un udas jhurriyodar chehro ko gyat hai.
sara jiwan uttardayitwo ka bojh uthate-uthate kat gaya
par jab jiwan ki saandhya-bela ayi
to pata chala ki unka uttardayitwa uthane koi nahi.
tanhai vishdhar ki bhanti dasti rahti hai
akelepan ka avsaad dilo par kohre ki tarah chhaya rahta hai.
unhen thoda sa
adab, samman, lihaj chahiye tha na
bas,
ye usi ki saza hai......

main piya ki ho gayi

thaki-thaki alsaayi raat ne
sameta chand taro ko
aur vida ho gayi.
ambar ke mathe par
lagi laal bindiya bhanu ki
aur kirno ne odhayi
satrangi odhni
kaliyan khili, fool mahke
pawan has padi, dharti sharma gayi.
ghir aye megho ne bahaye
ashru aaj khushi ke
pyase adharo ne pan kiya
ji bhar ke jiwan kaa.
ek taraf saji basundhara
aur ek taraf main
simti laal jode mai
nayano me sajaye anginat sapne
saat samandar paar kar
tham liya sazan ka hath
nach uthi puravaiya
koyal kook uthi
basant nandini aaj
piya ki ho gayi.

rone ke liye jarurat nahi padti

main bahut der tak sochti rahi
unke baare main
jo badal gaye the mousam ki tarah.
fir uth baithi main
aur tahalne nikal padi
der raat tak chalti rahi
andhere main
bilkul khamosh
sir jhukaye huye.
aur ek kutta achanak chup ho gaya
jo ro raha tha
unchi awaj main sir uthaye huye.
ek hi pal main
vo samajh gaya ki
rone ke liye jarurat nahin padti
uoonchi awaj ki
aur na kisi kone ki.
shayad usne dekh liya tha
meri un khaosh ankho ko
jo bah rahi thi chupchap.....

ye ladkiyan

ek dard, ek tees
seene main hardam chupaye rakhti hain
ye ladkiya.
aam ke paido par
jab gaati hai koyal
aur padte hain jhule jab sawan ke
jhulti huyi kuchh-kuchh gungunati hain
ye ladkiyan.
sir dhare kaleu ki roti
le hath me mattha ki matki
jati hui kheto ki aur
prakarti ko niharti hain
ye ladkiya.
shalaa se gujarte huye
jab dekhti hain hamumron ko padhte huye
man main ek apradhbodh sa
mahsus karti hain
ye ladkiyan.
kaam me rami huyi
bojh se dabi huyi
aksar kuch sochti hain
ye ladkiyan...